imaame Zamaana (atfs) ki oumr | keya waqte zohur 40 saal ke hon ge ? | sab as'haab jawaan hon ge ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, April 19, 2020

imaame Zamaana (atfs) ki oumr | keya waqte zohur 40 saal ke hon ge ? | sab as'haab jawaan hon ge ?

sawaal az : mohtaram Janaab Tammar Rizvi sb


Q. No-1 Imaam-e-Waqt ki present age kitni hai?


Q.no-2 Imaam-e-Waqt ke zohur ke baad unki umr kitni hogi... Yany jesa hamne suna hai ki imaam 40 baras ke honge zohur ke baad keya Yeh mumkin  hai ki wo fir se jawaan honge ?


Jawaab :


باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم

(1) imaam-e-asr ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki paiy'daaeish 15 shaabaan 255 hijri me huei thi


( osul-e-kaafi jild 1 p 514 baab مولد الصاحب عليه السلام / muntahal aamaal jild 2 baab 14 )


rawaan saal 1441 hijri hai lehaaza is saal 15 maahe shaaban me aap ki oumr-e-mobaarak 1,186 ( ایک ہزار ایک سو چھیاسی ) saal hai


(2) taarikh-e-welaadat maalum hai lekin agar ye bataaya jaae ke waqt-e-zohur aap ki baa-barkat oumr ketni hogi to is ka matlab ye huaa ke ham ne zohur ka waqt mota'aiy'yan wa moqarrar kar diya, jab ke zohur ka waqt mota'aiy'yan nahi hai


qeyaamat ki tarah is ka eilm bhi khoda wande aalam ko hai


jab zohur ka waqt mota'aiy'yan wa moqarrar nahi hai to waqt-e-zohur oumr ketni hogi ? nahi bataaya jaa sakta hai


Waqt-e-zohur aap ki jawaani ke mota'alliq 2 tarah ki rewaayaten hain :


pahli qism me sirf jawaani ka zikr hai dusri qism me saal ka tazkera hai


Rewaayaat ki pahli qism :


is me zaaheri shakl-o-surat wa jawaani ka zikr hai, saal ka zikr nahi hai misaal ke taur par sirf chand rewaayaat molaaheza farmaaen :


(1). imaam baaqir ( عليه السلام ) se manqul hai :


هُوَ شَاب بَعدَ كِبَرِ السِّنِّ

"kohan saali ( oumr rasidah ) ke baa wojud aap jawaan hain"


(2).


فِى سِنِّ الشُّيُوخ وَ مَنظَرِ الشَّبَاب

"kohan saal ki oumr me jawaan dekhaaei den ge"


(3).


رُجُوعُهُ مِن غَيبَتِهِ بِشَرخِ الشَّبَاب

mafhum :  "jawaani ke behtarin marhale ( jawaani ke aaghaaz ) me aap zaahir hon ge"


Dusri qism :


in me zaaheri shakl-o-surat ke aelaawah saal ka bhi zikr hai


is baare me zail me chand aek hadis-e-mobaarakah ka tazkera kiya jaa raha hai



(1) imaam saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :


يَظهَرُ فِى صُورَةِ شَاب دُونَ اَربَعِينَ سَنَة

"40 saal se kam oumr ke jawaan ki surat me zaahir hon ge"


(2) imaam saadiq ( عليه السلام ) se manqul hai :


يَظهَرُ فِى صُورَةِ فَتًى مُوَفَّقٍ اِبنِ ثَلَاثِينَ سَنَةً

"kaamil wa rashid aur qawi jism 30 saalah jawaan ki surat me zaahir hon ge"


(3) hazrat abaa salt herawi ne imaam reza ( عليه السلام ) se puchha aap ke qaa'aem ki alaamat keya hai ? jab khoruj karen ge to aap ne farmaaya :


عَلَامَتُهُ اَن يَكُونَ شَيخَ السِّن شَابَّ المَنظَرِ حَتَّى اَنَّ النَّاظِر اِلَيهِ لَيَحسَبُهُ اِبنَ اَربَعِينَ سَنَةً اَو دُونَهَا وَ اِنَّ مِن عَلَامَاتِهِ اَن لَا يَهرَمَ بِمُرُورِ الاَيَّامِ وَاللَّيَالِى حَتَّى يَاتِيهِ اَجَلُهُ

( is hadis me imaam-e-zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki 2 alaamaten wa neshaaniyaan bataaei gaei hain)


"aap ki ( aek ) alaamat ye hai ke aap ki oumr zeyaadah hogi lekin is tarah jawaan dekhaaei den ge ke dekhne waala gumaan kare ga ke aap ki oumr 40 saal ya 40 saal se kam hai

aur aap ki alaamaton me se ( dusri ) alaamat ye hai ke roz-o-shab ( raat din ) ke guzarne se kabhi budhe nahi hon ge, yahaan tak ke aap ka aakheri waqt ( ajal ) aa jaae"


is hadis se ye bhi istefaadah hota hai ke jab tak aap is dunya me hain jawaan hi rahen ge


molaaheza farmaaya ke :


mazkurah baala hadison me ye nahi kaha gaya hai ke zohur ke waqt masalan aap ki oumr 40 saal hogi

aiysa nahi ho sakta is liae ke is waqt aap ki oumr 1,186 saal hai to tawajjoh farmaaen waqte zohur ketni hogi ? is ka eilm khoda ko hai


rewaayaat me jo kaha gaya ous se moraad ye hai ke jab aap ka zohur hoga to ous waqt aap budhe wa pir aur naatawaan nahi hon ge


balke guzishta ambiya se sin rasidah aur bahot zeyaadah oumr rasidah hone ke baa wojud bhi aek mazbut badan jawaan ke maanind zohur farmaaen ge


( qeyaam karne waale ko jawaan hi hona chaahiae )


pas zohur ke waqt 40 saalah jawaan ke maanind hon ge ?

ya 40 saal oumr hogi ? do alag alag baaten hain


zaruri wazaahat ya ghalat fahmi ka aezaalah :


rewaayaat me bataaya gaya ke zohur ke waqt 40 saal ya is se kam oumr ya 30 saalah ... jawaan ki tarah hon ge


mazkurah rewaayaton me ta'aaruz nahi hai, aek dusre ki zid nahi hain sab aek hi matlab ki taakid wa taaeid ke liae hain


sab ka aeshaarah aek hi matlab wa mafhum ki taraf hai wo hai :


zohur ke waqt aap ka jawan rahna aur kaamil wa qawi jism jawaan ke maanind rahna


( eilme hadis wa rejaal me is ke mota'alliq bahot tafsili bahas hai )


40 saal ke mota'alliq shubhah wa moghaalatah ka maqsad :


"al melal wan nehal ( الملل والنحل )" ke mowallif shah'ristaani sb ne is ketaab me jo likha hai molaaheza farmaaen :


"ajaa'aebaat me se ye hai ke kahte hain ghaybat taqriban 250 saal tulaani ho gaei aur hamaare saaheb wa imaam ne kaha hai ke :


agar qaa'aem khoruj karen aur oun ki oumr 40 saal se oupar ho to wo tumhaare imaam wa saaheb nahi hain

aur ham nahi jaante ke 250 saal kayse 40 saal ho jaae ga ? ...


( jild 1 p 172 imaamiyah firqon ke zikr ke baad )


is tahrir ka maqsad ye hai ke agar imaam-e-asr 40 saal se zaa'aed oumr ke hon to imaam mahdi ( عجل الله فرجه ) nahi hain


aelaawah az ein apne zaame baatil me ye bataana chaahate hain ke معاذالله imaam mahdi ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ka wojud mauhum ( موہوم ) hai


is tarah ka shak-o-shubhah eijaad karne ka asl maqsad ye hai ke imaam ( عجل الله فرجه ) taqriban 250 saal se ghaa'aeb hain to kayse momkin hai ke zohur ke waqt 40 saalah hon ?


is ka jawaab wahi hai jo bayaan kiya gaya yaani zohur ke waqt 40 saal oumr nahi hogi balke bahot zeyaadah oumr hone ke baawojud 40 saalah jawaan ke maanind hon ge


yaqinan khoda qaadir-e-mutlaq hai, har chiz par qaadir hai lehaaza aisa karne par bhi qaadir hai


shia wa sunni dono ne naql kiya hai ke :


"rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) ke mojezaat me se aek ye tha ke aap jis markab par sawaar hote the wo jaysa tha waysa hi rahta yaani budha nahi hota tha


ahle sunnat ke mash'hur-o-maaruf aalim ibne asir sb ne "ousdul ghaaba fi maarefatis sahaabah" me rewaayat ki hai ke :


"amr bin hamiq khozaaei ( عمرو بن حمق خزاعى ) ne rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ko sayraab kiya to aap ne ous jawaan ke haq me is tarah doa farmaaei :


اَللَّهُمَّ مَتِّعُهُ بِشَبَابِهِ

"khodaaya is ko ous ki jawaani se bahra war ( بہرہ ور ) farma"


80 saal ke baad bhi ous ki daadhi ( داڑھی ) ka aek baal bhi safed nahi huaa ( yaani budha nahi huaa )


( jild 4 p 100 mat buaah daar aehya at toraasul arabi / beirut )


as'haabe kahf mahdi mau'oud ( عجل الله فرجه ) ke 313 waziron me se hon ge, ye jab 309 saal baad nind se bedaar huae to budhe nahi huae the, khoda ne surah kahf me in ko jawaan momin se taabir kiya hai


kisi ko jawaan rakhne se zeyaadah sakht wa dushwaar gaei huei jawaani ko waapas lautaana hai, zulay'kha ki jawaani waapas aaei ya nahi ?


mokhaalefin-e-imaam asr ( عجل الله فرجه ) aur takfiriyon ... ko khoda ki qudrat par aeteqaad aur idraak-o-sho'our hota aur apni hi ketaabon aur qur'aan hakim se aagaah hote to imaam-e-waqt ( عجل الله فرجه ) ke mota'alliq jaahelaana, ahmaqaana aur mujremaana ... baaten na karte


sawaal me hai keya ye momkin hai ke wo phir se jawaan hon ge ?


is ta'alluq se arz kar dun ke saahebul amr ( عجل الله فرجه ) budhe hote tab phir se jawaan hone ka sawaal payda hota,

dusre ye ke farz kar len imaam ( عجل الله فرجه ) budhe ho gae hain to is surat me bhi jawaani ko waapas lautaana khoda ke liae mushkil nahi, wo qaadir-e-mutlaq hai


surah baqarah aayat 259 me hai :


"khoda ne janaab-e-ouzair ko saw ( سو / 100 ) baras tak murdah rakha phir aap ko dobaarah zindagi di"


qaabile tawajjoh baat ye hai ke :


khaane pine ki chizen bahot jaldi kharaab ho jaati hain lekin 100 baras ka arsa guzar jaane ke baad bhi ba-hukme aelaahi tar-o-taaza thin, nahi sadin


lekin ghadhe ( گدھے ) ki haddiyaan tak bosidah ho gain thin, ous ke baad bhi dobaarah zindah kiya


amirul momenin ali ( عليه السلام ) se manqul hai :


"jab janaabe ouzair apne ghar se chale the to aap ki sharik-e-hayaat pet se thin aur khud ouzair ki oumr 50 saal thi, 100 saal murda rahne ke baad zindah huae to apne ghar waapas aae, aap ki oumr 50 saal hi thi lekin beta 100 saal ka ho gaya tha, beta baap se 50 baras bada tha"


khoda har chiz par qaadir hai, saahe'buz zamaan ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke mokhaalefin aetne andhe hain ke oun ko qudrate khoda nazar nahi aati


jawaab ke aakhir me jawaano ko ba'taure tohfah aek hadis pesh karta hun :


amirul momenin ali ( عليه السلام ) ne farmaaya :


اَصحَابُ المَهدِىِّ شَبَاب لَا كُهُول فِيهِم اِلَّا مِثلَ كُحلِ العَينِ وَالمِلحِ فِى الزَّادِ وَ اَقَلُّ الزَّادِ اَلمِلحُ

"yaaraan-e-mahdi ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) jawaan hain, oun me kohan saal nahi hain magar ( bahot kam ) jayse aankh me surma aur zaad-o-tosha ( khaane ) me namak aur bahot thoda zaad namak hai


( yaani budhe "بوڑھے " aate me namak ke baraabar hon ge )


( " Al ghaybah " shaikh tusi p 476 h 501 )


bit'tartib hadison ke hawaalajaat :


  1. " aekmaalud din " shaikh saduq jild 2 p 376

  2. hawaalae saabiq

  3. Al ghaybah p 421

  4. aek maalud din jild 1 p 316

  5. Al ghaybah jild 1 p 420

  6. aek maaluddin jild 2 p 652

Note :


behtar hai di gaei video dekh len


headline


imaam-e-zamaana (ajtf) abhi tak kaise zinda hain ?




والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


25 / شعبان / 1441 ھ.ق


Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.