Sawaal az : mohtaram Janaab Kashif sb / karachi
Salam Aalama sb... mera sawaal hai ke kiya syed apne syed khooni rishtey ko zakaat ke paisy de sakta hai baghair zahir kare ke ye zakaat ka maal hai ham tohfa keh ke de to kiya iski ijaazat hai ? Jawaab ka muntazir hain qibla...
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar mustahaq hain aur oun ka kharch chalaana aap par waajib wa zaruri nahi hai to wo zakaat jo 10 chizon par waajib hai aur zakaate fitrah de sakte hain
zakaat dene me apne qaribi rishtedaaron ko dusron par moqad'dam rakhna behtar hai
ji ba'ounwaane tohfa, hadiya aur eidi ... de sakte hain
zakaat (fitre) ke baare me bataana zaruri wa laazim nahi hai ye aek monaasib wa aabrumandaanah tariqah hai lekin niyat me zakaat (fitrah) ka qasd karna zaruri hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
21 / رمضان المبارک / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment