Sawaal az : +966551.....
Salamun alaikum wrb
Sawaal
Sadqa'ae fitre eid aur jo aam dino me ham sadqa nikaalte hain kya usme farq hai
ya ek hi farq hai to kya aur ek hi hai to kese
Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Ji farq hai, chand farq ye hain :
- aam sadqa masalan jo bala waghairah taalne ke liae nikaalte hain, waajib nahi hai lekin fitrah nikaalna waajib hai (sharaa'aet ke motaabiq)
- fitrah me taqriban 3 kg khaane ki aiysi ash'ya (اشیاء) den jo aam taur par aap ke shahar ... me khaa'ei jaati hain yaa ous ki qimat den to ye bhi kaafi hai
lekin aam sadqah, raahe khoda me har kaare khair ko kahte hain maali ho yaa ghair maali - mustahab wa aam sadqah syed ko de sakte hain albatta mokhtasar wa naa chiz ho to bala taalne waala sadqa syed ko nahi dena chaahiae lekin ghair saadaat ka fitrah saadaat ko nahi de sakte hain saadaat par haraam hai
- mustahabbi wa aam sadqah me faqr (ghurbat), eimaan aur islaam shart nahi hai lehaaza maaldaar, ghair muslim aur sunni ko bhi de sakte hain
albatta wo ghair muslim jo musalmaanon se bar'sare paiykaar hain oun ko ya naasebi ko nahi de sakte hain albatta behtar hai zarurat mand wa momin ko den - mustahabbi wa aam sadqah ke paiyson ko ous waqt tak badal sakte hain jab tak aap ke aekhteyaar me hain yaani faqir ko abhi nahi diya hai lekin fitrah ke paiyson ... ko nahi badal sakte hain
- jamaa shoda mustahabbi wa aam sadqa ke paiyson ... ko apne oupar kharch kar sakte hain is liae ke abhi aap ki milkiyat me hai lekin fitrah kharch nahi kar sakte hain
Rewaayat me hai :
" كُلُّ مَعرُوفٍ صَدَقَة "
"har nek wa pasandidah kaam sadqah hai"
lehaaza raahe khoda me maal ... diya to ye sadqah hai aur mofid eilm haasil karna, do naaraaz momin ke darmeyaan sulho safaaei karaana, momin ko dekh kar muskuraana, apni zabaan ... se kisi ko faa'aeda pahunchaana wa noqsaan na pahunchaana, raaste se taklif'deh (تکلیف دہ) chiz hataana jaiyse kaanta, eint, path'tar ... taake raah gir ko na chubhe aur thokar na lage ... ye sab sadqa hain
lekin fitrah me mustahaq hona zaruri hai aur ous ke kuchh sharaa'aet bhi hain oun ka paaso lehaaz zaruri wa laazim hai har aek ko nahi de sakte hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
29 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment