sadqah ki aqsaam | saiyed ko dena | dalil | hazrat zainab ka qaul "sadqah ham par haraam hai" se moraad - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, May 20, 2020

sadqah ki aqsaam | saiyed ko dena | dalil | hazrat zainab ka qaul "sadqah ham par haraam hai" se moraad

Sawaal az : +966536.....


Agha Salmwalekum...


Ek Sawaal tha Apse...

Kya Syed Log Syed Se Sadka Le Sakte H... Agar han to Daleel den. aur na to bhi Daleeel den. main Sistaani sahab ki Takleed me Hun


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Sadqe ki 2 qismen hain, waajib aur mustahab


  1. waajib :

  2. jaiyse zakaat ( isko zakaat-e-maal kahte hain ) aur fitra ( is ko zakaat-e-badan kahte hain )


  3. mustahab :

  4. ye sadqa zakaat aur fitra ke aelaawa hai. masalan wo sadqa jo bala, bimaari waghaiyrah taalne ke liae diya jaata hai


    waajib sadqa ghair syed ka syed ko nahi de sakte hain aur syed le bhi nahi sakta hai lekin syed ka, syed wa ghair syed dono ko de sakte hain


    albatta baaz haalaat me zakaat le sakte hain


    ( tafsil tauzihul masaa'ael me zakaat ke ahkaam dekh len )


mustahab sadqa syed, syed ko de sakta hai aur le bhi sakta hai eisi tarah ghair syed ka syed ko diya jaa sakta hai aur syed le bhi sakta hai, haraam nahi hai


albatta jo sadqa bala taalne ke liae diya jaata hai agar wo kam hai to benaa'bar aehteyaat-e-waajib syed na le


Dalil :


shar'ei ahkaam bayaan karne me dalil nahi di jaati hai is liae ke dalil bayaan karne ke liae eilmi bahas ki zarurat hoti hai. aam momenin-e-geraami ke liae ous ko bayaan karna monaasib bhi nahi hai, ye olama, mohaqqeqin aur maraaje se marbut hai

bahar haal aap ke aehteraam me aur tahrir ko nuraani karne ke liae sirf aek hadis bayaan ki jaa rahi hai :


raawi ne imaam-e-saadiq (عليه السلام ) se sawaal kiya ke aaya sadqa banu haashim ( syed ) ke liae halaal hai ? to imaam (عليه السلام ) ne farmaaya :


اِنَّما تِلكَ الصَّدَقَةُ الوَاجِبَةُ عَلَى النَّاسِ لَاتَحِلُّ لَنا فَاَمَّا غَيرُ ذَالِكَ فَلَيسَ بِه بَاس ولَوكانَ كَذَالِكَ مَاستَطَاعُوا اَن يُخرُجُوا اِلَى مَكَّةَ - هذِه المِيَاهُ عَامَّتُها صَدَقَة


( wasaae lush shia jild 9 p 272 baab 31 h 3 min ab'waabil mustahaqqin liz'zakaat )

hadis ka mafhum :


agar wo sadqa jo logon par waajib hai ( jaiyse zakaat wa fitra ) to hamaare ( syed ) ke liae halaal nahi hai lekin agar waajib nahi hai to koei haraj nahi hai. agar waajib sadqa ke aelaawah ( yaani mustahab sadqa ) halaal na hota to wo ( banu haashim, syed madine se ) makkeh nahi jaa sakte the is liae ke ( makkah wa madina ke darmeyaan ) raaste ke ye saare paani sadqa hain


makke wa madine ke darmeyaan haajiyon ke liae kun'waan (کنواں ) wa chaah khode gae the, qat'an ye mustahabbi sadqa me aate hain, ye sadqa-e-jaariya the lehaaza agar mustahab sadqa bhi haraam hota to bani haashim makke yaa madine me hi rahte is liae ke tulaani safar me paani ke be'ghair nahi rah sakte the


baaz rewaayaton me hai ke imaam-e-saadiq ( عليه السلام ) ne ye paani pine se bach'chon ko mana kiya, farmaaya jo paani hamaare paas hai wo piyo is ki wajah shaayad paani ka ghasbi yaa aaluda hona ho is liae mana kiya



wazaahat :


momenin aam taur par ye samajhte hain ke har tarah ka sadqa syed par haraam hai. is ki wajah shaayad janaab-e-zaiynab yaa janaab-e-oumme kulsum ( سلام الله عليهم ) ka wo jumla hai jo aap ne kufe me farmaaya tha. asiraan-e-karbala ka qaafela jab kufa pahuncha to aek aurat mokhtasar khaana wa khurma bach'chon ko dene ke liae laaei to aap ne qabul nahi kiya aur farmaaya :


اِنَّ الصَّدَقَةَ حرام علينا اهلَ البيت


"yaqinan ham ahlebait par sadqa haraam hai"


ye kahne ki mokhtalif wajh'hen ho sakti hain :


shaayad wo waajib sadqa tha, is liae kaha ham par sadqa haraam hai yaa aehteyaat ke taur par aiysa kiya yaa aiyse haalaat the ke agar khurma wa khaana ... lete to aap hazaraat ki khud'daari, izzate nafs, izzat-o-aabru aur shakhsiyat majruh hoti is liae ke aap logon ka ta'alluq azim khaandaan se tha lehaaza momkin hai aap hazaraat ke aali maqaam-o-martabe ke peshe nazar ye sadqa haraam ho


ya aek mohim wajah ye ho sakti hai ke yazidiyon ne ghalat propaganda ( ڈھنڈورا ) kiya tha ke ye asir khaareji hain


"sadqa ham par haraam hai" kah kar ye bata diya ke ham khaareji nahi hain balke khaandaan-e-rasu'lullah ( صلى الله عليه و آله ) wa resaalat se hain, ounki aulaad hain. is aek jumle ne yazidiyon ke saare ghalat propeganda aur naqshe baatil ko naqsh bar aab kar diya



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khadim-e-erdaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


۔26 / ربيع الثاتى / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.