ketni muddat tak Imaame Zamaana (atfs) ki hokumat rahe gi ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, December 26, 2020

ketni muddat tak Imaame Zamaana (atfs) ki hokumat rahe gi ?

sawaal az : mohtaram janaab Syed Asif Abbas Rizvi sb


Salaam Alaikum

Ek sawal hai


Imam-e-Zamana ajtf ki is zamane me yani pardaye ghaib k baad kitni saal hukumat hogi ?


Regards,

Syed Asif Abbas Rizvi


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

ketni muddat wa saal tak imaame asr ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki hokumat rahe gi ? is ta'alluq se shia wa sunni hadison me mokhtalif aqwaal milte hain. hadis ki asl matn wa aebaarat ko nazar andaaz karte huae baaz aqwaal darj zail hain :


  1. 5 ya 7 ya 9

  2. 6 ya 7 ya 8 ya 9

sunni hadison me 7 saal hokumat ke baare me zeyaadah naql huaa hai

sunniyon ki 2 maaruf ketaabon se roju kar sakte hain


kanzul oummaal jild 14 p 262 wa 275 baab khorujul mahdi h No 38653 wa 38708 / musnad ahmad bin hambal jild 17 p 321 h 11223


  1. 6 ya 7 ya 9

  2. 7

  3. 7 saal wa 2 maah

  4. 7 ya 8

  5. 9

  6. 14

  7. 19

  8. 19 saal wa chand maah

  9. 20

  10. 40

  11. 70

  12. 120

  13. 309 (as'haabe kahf ki lambi nind ke baraabar )

  14. 313 ( hazrat taalut ke sepaahiyon, jange badr me yaaraane rasule khoda aur khud apne ( سلام الله عليهم ) khaas yaaron ki taadaad ke baraabar )

  15. muddate hokumat ka eilm sirf khoda ko hai ( ketne saal rahe gi is ke baare me zikr nahi hai )

muddat ke hawaale se mazkurah baala aqwaal ki mokhtalif taujihaat aur maqaasid pesh kiae gae hain


masalan shaayad 5 wa 7 saal se maqsud 5 wa 7 sadiyaan hon, momkin hai isi wajah se baaz rewaayaat me saraahat ke saath zikr hai ke imaame zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) ki hokumat ka har saal 10 ya 20 saal ke baraabar hoga

agar 20 saal maan len to 7 saal majmu'an 140 saal hoga


ya mokhtasar muddat jaiyse 5 ya 6 saal se maqsud shaayad hokumat ke mokhtalif maraahil hon masalan shoru ka zamaana jis me adl qaa'aem karne ke liae zaalimon se moqaabala karen ge ...



bahar kaif meri zaati raa'ae ye hai ke imaam asr ( عجل الله فرجه الشريف ) ki hokumat tulaani rahe gi


aap ki salaamti ke liae hamesha makhsusan shabhaae qadr me ye doa padhte hain :


اَللَّهُمَّ كُن لِوَلِيِّكَ ...۔


allaahumma kun le waliaekal ...

is ke aakhir me hai :


تُمَتِّعَهُ فِيهَا طَوِيلا

yaani khodaya oun ko lambe waqt tak ruae zamin par bahra mand farma


ye jumla haqiqat me imaam mahdi ( عجل الله فرجه الشريف ) ki tulaani hokumat karne ki aarzu wa doa hai


lehaaza agar aap ki hokumat mokhtasar muddat ke liae ho to is tarah doa karne ki taalim wa hukm dena be maani si baat hai


maasum imaamon ( صلوات الله عليهم ) ne farmaaya :


maahe ramzaan ki shabe 23 me is doa " ( allaahumma kun ... ) "


ko sajde, qeyaam, baithne ki haalat me aur har haalat me wa pure mahine baar baar padho


( foruae kaafi jild 4 p 162 ketaabus seyaam )


( maahe ramzaan ke aelaawah bhi jetna ho sake is doa ko padhne ki sefaarish ki gaei hai )


dusre ye ke sadiyon se jin ki hokumat ka intezaar raha oun ki hokumat ki muddat mokhtasar nahi ho sakti


khulaasa'ae kalaam ye ke :


يَمكُثُ فِى الاَرضِ مَاشَاءَالله

"jetna khoda chaahe ga outni muddat wa saal tak qaa'aem ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki hokumat qaa'aem rahe gi


lehaaza aap ki muddate hokumat ko khoda ke hawaale kar den


الله عالِم

khoda aalim hai


shia ketaabon ke hawaalaajaat :


  1. al ghaiybah p 181 wa 189 wa 332 wa 473 taalif shaikh tusi

  2. ketaabul ghaibah p 283 wa 285 wa 474 taalif mohammad bin ibraahim nomaani

  3. behaarul anwaar jild 52

  4. mikyaalul makaarim taalif syed mohammad taqi musawi

  5. muntakhabul asar p 143 taalif aayatullah lutfullah saafi

  6. hokumate jahani mahdi عليه السلام p 314 taalif aayatullah makaarim shiraazi

niche diae gae jawaab mofid hain انشاءالله




والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


11 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.