Bade shahr ke andar safar ke dauraan namaaz | roze ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, April 13, 2021

Bade shahr ke andar safar ke dauraan namaaz | roze ka hukm

Sawaal az : +918755.....


Salamunaleykum


mai Bijnor ka rahne wala hu Delhi me job karta hun mera field work hai mujhe Delhi Ncr me kahin bhi jana pad jaata hai company ke kaam se 22 km se zyada ki distance par bhi mujhe jana pad jata hai


  1. kya mera roza qasr ho jata hai ?

  2. mera room Delhi me hai kya mai roze ki halat mai Meerut se Delhi travel kar sakta hu zohar ki namaaz se pahle ?

taqlid sistani sb.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. Delhi ka shumaar bahot zeyaadah bade shahr (belaade kabirah) me hota hai agar aap shahr ke andar 22 km ya is se zeyaadah ka aeraadah kar ke jaa'aen wa niklen aur shahr ke andar hi hain aek kenaare se dusre kenaare tak pahunche lekin shahr se baahar nahi nikle hain to aap ka chalna wa jaana safar nahi kahlaa'ae ga (safar ka tahaqquq nahi hota hai) aur na hi mosaafir bane'n ge

  2. lehaaza aap shar'an mosaafir nahi hain mosaaferat ke ahkaam jaari wa laagu nahi hon ge is ke peshe nazar aap ki namaaz qasr nahi hai balke puri hai aur roza sahih hai


  3. Meerut se nikalte waqt roze ki niyat nahi kar sakte hain is liae ke aap mosaafire shar'ei hain

  4. albatta qabl az zohr Delhi ke hodud me daakhil hone ke baad roze ki niyat kar sakte hain roza sahih hai ba'sharte ke aisa koei kaam na kiya ho jis se roza baatil ho jaata hai


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


30 / شعبان / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.