Nazro neyaaz ka khaana niche rakha ho to keya khade ho kar nazr dene se be aehteraami hoti hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, August 30, 2022

Nazro neyaaz ka khaana niche rakha ho to keya khade ho kar nazr dene se be aehteraami hoti hai ?

Sawaal az : khaahare geraami


Ek question hai agar niyaz ka samaan niche rakha hai to kiya zaruri hai ke ham baith kar nazr de khade ho kar nahi de sakte


Q ke kuchh logo ka aqeeda hai ke ham ya to niyaz ke samaan niche nahi rakhe kisi buland jagaha pe rakha jaye


aur jab niyaz ke samaan niche rakha huwa hai to khade ho kar nazr nahi den be'ehterami ho jati hai niyaz


Is bare me kiya nazriya hai
Plz details se bataye


Note : mera naam etc show na kijiyega


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


nazro neyaaz dilaane me is tarah ki koei qaid nahi hai ke khade ho kar den ya baith kar, isi tarah khaane ka saamne hona zaruri nahi hai, saamne khaana rakhe beghair bhi nazr de sakte hain


agar khade ho kar nazro neyaaz dilaane se be aehteraami hoti hai to phir (ma'aazallah) qur'aan karim, doa ki ketaab aur khaake shefa ki sajdegaah wa tasbih ki bhi be aehteraami hoti hai is liae ke qur'aan, doa ki ketaab aur khaake shefa ki sajdegaah wa tasbih mosalle waghairah par rakhi rahti hai aur ham khade ho kar namaaz padhte hain


nazro neyaaz ka khaana aur saamaan qur'aan, doa ki ketaab, aur khaake shefa ki sajdegaah wa tasbih se badh kar nahi hai


bahar kaiyf agar aap ke aelaaqe ke ourfe aam me yaani aam momenin ke nazdik be aehteraami hai to baith kar nazr den ya kisi baland maqaam par rakh den, aiysa karna kaunsi mushkil baat hai ?


Isi ko kahte hain :


baat ka batangad banaana = "بات کا بتنگڑ بنانا"


samaajo mo'aashare ko darpesh aham masaa'ael par tawajjoh dene ki zarurat hai


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum/ iran


2 / صفر / 1444 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.