Agar naa'baaligh may'yit ke jism ko chhu le to keya ous par ghusl waajib ho jaata hai? | momaiy'yiz se moraad | ghusl na karne ki surat me jaa'aez kaam - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, March 3, 2023

Agar naa'baaligh may'yit ke jism ko chhu le to keya ous par ghusl waajib ho jaata hai? | momaiy'yiz se moraad | ghusl na karne ki surat me jaa'aez kaam

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Bazmi sb / Lucknow


Aagha
Salaam Alaikum
Lucknow se mai Bazmi


Masle ka hal bataayen
Agar koi na-Baaligh Mayyat ko mass kare to Quraan-O-Hadees ki roshni me iska kya hukm hai ?


Was Salaam
Ba Khair
Shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


naa'baaligh maiy'yit se aap ki moraad agar naa'baaligh bach'che ki maiy'yit hai to ous ki maiy'yit ko chhune ke baad ghusle mas'se maiy'yit waajib hai


agar sawaaliyah jumle se aap ki moraad ye hai ke agar koei naa'baaligh bach'cha, maiy'yit ko chhu le to keya hukm hai ?


is ka jawaab ye hai ke naa'baaligh bach'cha ya diwaana jab maiy'yit ko chhu le to, bach'che ke baaligh ya diwaane ke aaqil hone ke baad oun par ghusle mas'se maiy'yit waajib ho jaa'ae ga keyun ke naa'baaligh bach'cha aur majnun ahkaame shar'eiyah ka mokallaf nahi hota hai albatta agar momay'yiz bach'cha ya bach'chi ghusl kare to ous ka ghusl sahih aur kaafi hai yaani baa'ligh hone ke baad dobaarah karna zaruri nahi hai


Note :


  1. murde ka pura jism thanda hone ke baad aur ous ko 3 ghusl dene se pahle chhu le to ghusle mas'se maiy'yit waajib hoga

  2. wazeh rahe ke ghusle mas'se may'yit waajib hai khaah may'yit musalmaan ho ya kaafir, lekin agar is baat ko jaan le ke may'yit aiyse musalmaan ki hai jis ko ghusl de diya gaya hai to is surat me chhune ke baad ghusle mas'se may'yit waajib nahi hai


  3. momay'yiz ka matlab ach'che bure me tamiz karne waala hai lekin yahaan "momay'yiz" se moraad wo naa'baaligh bach'cha ya bach'chi hai jis me aetni sujh bujh ho ke samajh sake ye maiy'yit hai is ko chhune ke baad ghusl kiya jaata hai aur kis tarah kiya jaata hai ?
    malhuze khaatir rahe ke is ka meyaar oumr nahi, quw'wate tashkhis wa samajh bujh hai

  4. jis shakhs ne maiy'yit ko chhune ke baad ghusle mas'se maiy'yit na kiya ho to ous ke liae hasbe zail chand kaam jaa'aez hain :

    1. roza rakhna

    2. masjid me thaharna wa qeyaam karna

    3. jin aayaat ki telaawat karne se sajdah karna waajib hai oun ko padhna

    4. ham bistari karna

    5. agar miyaan biwi donon ya oun me se kisi aek ne maiy'yit ko lams kiya ho to ghusl ke be ghair jema kar sakte hain


      waazeh rahe ke namaaz padhne aur qur'aan ki aayaat ko chhune ke liae ghusl karna zaruri hai


    Aayatullah sistaani ke moqalledin ke liae ghusle mas'se maiy'yit karne ke baad wozu ki zarurat nahi hai lehaaza ghusl karne ke baad be ghair wozu ke namaaz padh sakte hain aur koei bhi aebaadat kar sakte hain


Niche recommend kiae ga'ae sawaalo jawaab ka padhna aur video dekhna mofid hai انشاءالله


  1. Ladki wa ladke ke baaligh hone ki alaamaten


  2. Murdah insaan ko chhune se ghusl hai lekin murda jaanwar ko chhune se keyun nahi ? ghusle may'yit aur mas'se may'yit ki hikmat | keya marte waqt aehtelaam hota hai ?

  3. May'yit ke ghusl me istemaal shuda paani aam gad'dhe ya naali me jaane diya jaa'ae ya ous ke liae alag ga'dha khoda jaa'ae ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


1 / shaabaan / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.