اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : ...
Namaz e Shab, Namaz e Al Shafa, Namaz e Witr
Kya in teeno namazon mein jo total 11 rikat hai Aadhi raat (sone sey pehle) ke baad namaz e shab ya namaz e shab aur shafa padh ke so saktey ?
Namaz e witr baad mein yaani namaz e fajr ke azaan ke pehle padh saktey?
Ya teeno namazon ko jab bhi padhein ek saath hi padhna chaiye?
Aap ke jawab ka muntazir hoon..
Jazakallah..
Mera naam aur no. share na karein plz
Taqlid : Aytullah Khamenei Sb.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
namaaze shab (8 rak'at namaaze shab, 2 rak'at namaaze shaf aur 1 rak'at namaaze watr ya witr) ka waqt aadhi raat (nisf shab) ke baad se fajr (azaane subh) tak hai
Chand afraad aadhi raat aur sone se pahle namaaze shab padh sakte hain
- mosaafir
- wo shakhs jis ke liae aadhi raat ke baad outhna sakht ho
- wo shakhs jis ko is baat ka andesha ho ke aadhi raat ke baad aankh nahi khul sake gi jis ki wajah se namaaze shab faut ho jaa'ae gi
- wo shakhs jo kisi ouzr ke baa'aes aadhi raat ke baad na padh sake jaiyse budha aadmi ya sardi ki shid'dat ya aehtelaam ho jaane ka khauf ...
namaaze shab ki 11 rak'aat ko aek hi saath padhna zaruri nahi hai, faasele aur waqfe ke saath padh sakte hain
masalan namaaze shab ki 8 rak'aat me se 2 rak'at padhen, faasele aur waqfe ke baad phir 2 rak'at padhen isi tarah baaqi 4 rak'aat ke darmeyaan faasela wa waqfa diya jaa'ae to koei haraj nahi hai
namaaze shaf aur watr ke darmeyaan bhi waqfa rakhna jaa'aez hai
mazid maalumaat ke liae site ke "MENU" me "Namaaz-e-shab" ka shoba dekhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
23 / safar / 1445 H.Q
No comments:
Comment