Oupar chadhi huei aasteen me namaaz padhna kaiysa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, September 14, 2023

Oupar chadhi huei aasteen me namaaz padhna kaiysa hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Arsalan Askari sb. (Gujraat)


Assalamu Alaykum


Kya sleeves (aasteen) fold kar ke namaaz padhne ki mamaaniyat shia kutube ahaadees me aayi hai...? jaise ke ahle sunnat kutub me aise namaaz padhne ki karaahiyat aayi hai


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


oupar chadhi huei aasteen me namaaz padhna makruh nahi hai


Note :


  1. namaaz aur bandagi ke aadaab me se aek adab ye hai ke mokammal aur monaasib kapde pahen kar namaaz padhe

  2. khawaateen ke liae alag hukm hai niche di gaei headline par click kar ke jawaab molaaheza farmaa len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


27 / safar / 1445 H.Q

shabe shahaadat Rasul Akram aur Imaam Hasan (عليهم السلام)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen