Keya Aa'aesha oummul momeneen hain ? | keya laqab oummul momeneen se Aa'aesha ki koei fazilat saabit hoti hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, September 27, 2023

Keya Aa'aesha oummul momeneen hain ? | keya laqab oummul momeneen se Aa'aesha ki koei fazilat saabit hoti hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Naasir Abbaas Jaafari Sb / Congo (Goma)


jab aayesha ne rasul saww ko zeher diya hazrat Ali as se Jamal me ladne Aayi Imame Hasan as k janaze par tir chalwaye to inhe ummul momenin kyu kaha khuda ne kyuke kuch log lahte h aayesha ko ummul momenin kahna ghalat h?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Mokhtasar jawaab :


pahli baat to ye hai ke khoda ne Aa'aesha ka naam le kar "Oummul momeneen" nahi kaha balke Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki tamaam biwi'on ko "Oummul momeneen" kaha hai
ye laqab Aa'aesha ke saath khaas nahi jis ki bena par sunni hazaraat Aa'aesha ke liae aek imteyaazi maqaam saabit karen


dusri baat ye hai ke "Oummul momeneen" ous waqt kaha jab Aa'aesha ke ye jaraa'aem saamne nahi aa'ae the


tisri baat ye hai ke Aa'aesha ko "Oummul momeneen" kahne ka matlab hargiz ye nahi ke Aa'aesha ach'chhi aurat hain, momin ki maa kaaferah ya khataa kaar ya bad akhlaaq... ho sakti hai
"Oummul momeneen" kahne ka matlab ye hai ke Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki shahaadat ke baad aap ke aehteraam wa takreem... ki khaatir aap ki biwi'on se nekaah ki momaana'at hai, oun se shaadi karna haraam hai, is se zeyaadah kuchh nahi.


Qadre tafsili jawaab :


Surah ahzaab me hai :


"...وَاَزْوَاجُهٝٓ اُمَّهَاتُهُـم ..."


"...Nabi ki biwiyaan momino'n ki maa'aen hain..."


(aayat 6)


is aayat ke motaabiq Rasule akram (صلى الله عليه واله) ki biwi'on ka laqab "Oummaha tul momeneen" (momeneen ki maa'aen) hai, biwi'on me se har aek ko alag alag "Oummul momeneen" (eimaan waalon ki maa) kaha jaata hai.


is aayat ka maani ye hai ke Azwaaje Nabi (صلى الله عليه وآله) momeneen ke liae maa ka darja rakhti hain, apni maa ki tarah hain, kis chiz me apni maa ki tarah hain ? hurmate nekaah me.


Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ki biwiyaan agarche haqiqi maa'aen nahi hain magar nekaah ki hurmat me waaleda hi ke hukm me hain lehaaza apni haqiqi maa ki tarah Azwaaje Rasul (صلى الله عليه وآله) se bhi nekaah karna haraam hai.
agar momeneen ke liae haqiqi maa hotin to har momin oun ke liae mahram hota, oun ko dekh sakta tha jab ke momin ke liae oun ko dekhna jaa'aez nahi tha aur oun ki betiyaan momeneen ki haqiqi bahnen hotin, momeneen ke liae oun ki betiyon se shaadi karna jaa'aez na hota aur momeneen ko oun ki miraas bhi milti...


in baaton se keya saabit hota hai ? yahi ke Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ki biwiyon se shaadi karna haraam hai is se zeyaadah kuchh nahi


tafsire majmaoul bayaan jild 8 p 438 tafsire surah ahzaab ki aayat 6 ke zail me (shia ketaab)


yahaan ye baat bhi malhuze khaatir rahni chaahiae ke aayat me Azwaaje Nabi (صلى الله عليه وآله) ko "Oummahaatul momeneen" (momin mardon ki maa'aen) kaha gaya hai "Oummahaatul momenaat" (momena auraton ki maa'aen) nahi kaha gaya hai
Keyon ke mard, aurat se shaadi karte hain aurat aur aurat ke darmeyaan shaadi nahi hoti aur Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ki biwiyaan momin mardon ke liae maa ki tarah hain lehaaza oun se shaadi karna haraam hai. laqab "Oummul momeneen" se bas aetna hi saabit hai ke oun se aqd karna jaa'aez nahi hai.


Is ki taa'eid khud Aa'aesha ke is qaul se bhi hoti hai


Masruq ne Aa'aesha se rewaayat ki hai :

"أن إمرأة قالت لعائشة: يا أمه. فقالت: لست بأمك، أنا أم رجالكم"


"aek aurat ne Aa'aesha se kaha : ay amma, Aa'aesha ne kaha main tumhaari (auraton ki) maa nahi hun balke tumhaare mardon ki maa hun"


  1. sononul kubra jild 7 p 111, talif abu bakr bayhaqi (sunni ketaab)

  2. tabaqaatul kubra, jild 8, p 64, talif ibne saad. (sunni ketaab)

Molaaheza farmaa'aen :


"momin mardon ki maa'aen" sirf hurmate nekaah ke lehaaz se kahte hain, taazeem aur taareefo tamjeed ke lehaaz se nahin, warna Aa'aesha auraton ki maa hone se inkaar na kartin
agar taazeem aur fazilat ki wajah se momeneen ki maa'aen kahte hain to keya ye wajah sirf mardon me paa'ei jaati hai ? auraton me nahi ? keya sirf mard taazeemo takreem karen aurat nahi ? jab ke donon aehteraam karne me baraabar ke shareek hain.


sunni hazaraat laqab "Oummul momeneen" se Azwaaje Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) makhsusan Aa'aesha ki fazilat saabit karte hain.
yaad rahe is se Aa'aesha ki koei fazilat saabit nahi.


momeneen ki maa'aen sirf hurmate nekaah aur Nabiye kareem (صلى الله عليه وآله) ke aehteraam wa takreem ke lehaaz se hai is ke aelaawah aur kuchh nahi.
main sunni bhaa'eiyon se puchhtaa hun agar Aa'aesha ko "Oummul monaafeqeen" (monaafeqeen ki maa) ka laqab diya jaa'ae to keya is laqab se saabit hota hai ke jis tarah monaafeqeen bure hain ousi tarah Aa'aesha bhi buri hain ? aiysa nahi hai keyon ke zaruri nahi hai ke jo bhi monaafiq ki maa ho wo monaafiq ki tarah buri ho isi tarah laqab "Oummul momeneen" hai jo bhi momin ki maa ho ous ke liae zaruri nahi hai ke momin ki tarah ach'chhi aur saahebe fazlo kamaal ho.


ye baat yaani sirf hurmate nekaah saabit hai, iftekhaar nahi, Aa'aesha ke mazkurah qaul aur sunni kotub se saabit hai.


is hawaale se sunniyon ko apne kath mollaa'on ke jhaanse me nahi aana chaahiae


Is ki tafsil ke liae darj zail sunni kotub ka motaala'aa mofid rahe ga :


  1. tafsire moqaatil bin solaymaan jild 3 p 53 taaleef moqaatil bin solaymaan.

  2. tabaqaatul kubra jild 8 p 64 taalif ibne saad.

  3. sononul kubra, jild 7, p 110 wa 111, taalif abubakr baiyhaqi

Waazeh rahe ke surah ahzaab hi ki aayat 53 me hai :


"...وَمَا كَانَ لَكُمْ أَنْ تُؤْذُوا رَسُولَ اللَّهِ وَلَا أَنْ تَنْكِحُوا أَزْوَاجَهُ مِنْ بَعْدِهِ أَبَدًا ۚ إِنَّ ذَٰلِكُمْ كَانَ عِنْدَ اللَّهِ عَظِيمًا"


"...na tumhaare liae ye jaa'aez hai ke tum Khoda ke Rasul ko taklif do aur na tumhaare liae ye halaal hai ke Nabi ke baad (yaani aap ki shahaadat ke baad) kabhi bhi oun ki biwiyon se nekaah karo, Allah ke nazdik ye bahot bada (gunaah) hai"


Is aayat ka sababe nozul (shaane nozul) :


shaane sahaaba aur naamuse nabi ka wazifa padhne aur dam bharne waalon ke jalilul qadr sahaabi aur Abu bakr ke chachere bhaaei "Talha Bin Obaydullah" ki niyat ammaa Aa'aesha Binte Abu bakr par kharaab ho gaei.


apne dil ki tamanna aur aarzu ka izhaar is tarah kiya :


" ...والله، لئن مات محمد وأنا حى لأتزوجن عائشة "


"... khoda ki qasam, agar Mohammad mar ga'ae aur main zinda raha to main Aa'aesha se shaadi karunga"


jab Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ko ye maalum huaa to aap sakht naaraaz huae, aap ko taklif huei chunke Nabi (صلى الله عليه وآله) ko aziyat dena gunaahe kabira wa haraam hai is liae ous waqt khoda ne ye aayat (aayate tahrim) naazil farmaaei


  1. tafsire moqaatil bin solaymaan jild 3 p 53 taalif moqaatil bin solaymaan (sunni ketaab)

  2. sononul kubra, jild 7, p 110, taalif abubakr bayhaqi (sunni ketaab)

  3. tafsire kabeer, jild 25, p 225, taalif fakhre raazi (sunni ketaab)

is aayat ke bhi motaabiq "hurmate nekaah" Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ke aehteraam wa takreem ke sabab hai, Azwaaje Nabi (صلى الله عليه وآله) aur Aa'aesha ki fazilat aur taazeemo takreem ki khaatir nahi hai.


Azwaaje Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se nekaah karna aap ko aziyat dene ka baa'aes tha is liae oun se shaadi karna haraam tha.


Khulaasa'ae kalaam :


momeneen ki maa'aen qaraar dene se, azwaaj ko koei fazlo kamaal aur sharaf haasil nahi hai, is se oun ki fazilat wa sharaf saabit nahi hota, is liae ke momeneen ki maa'aen khataa kaar aur mujrim bhi ho sakti hain. momin ki maa hone ka matlab ye nahi hai ke wo bhi ach'chhi ho, lehaaza azwaaj, sirf hurmate nekaah ke baab me maa'on ke misl hon gi.


farz kar len ke momeneen ki maa'aen hona koei sharaf aur maqaamo martaba hai to ye ous surat me hai jab wo khud bhi ach'chhi wa parhez gaar hon warna Hazrat Nuh aur Lut ki biwi'on ke maanind mazammat ki mustahaq hain ya Hazrat Aadam aur Nuh ke khataa kaar aur gumraah beton ki tarah khataa kaar wa gunaah gaar hain.
sunniyon ki sahih ahaadees aur taarikh se Aa'aesha ke jaraa'aem, kartut, kheyaanat aur Nabiye kareem (صلى الله عليه وآله) ke hukm ki mokhaalefat wa naa farmaani... saabit hai lehaaza Aa'aesha ko "Oummul momeneen" kahne se Aa'aesha ach'chhi wa nek nahi ban jaa'aen gi aur ye oun ke jannati hone par dalil nahi hai.
mazkurah baala baaton ke peshe nazar Aa'aesha ko "Oummul momeneen" kahna haraam nahi hai.


aekhtetaam par intehaaei aekhtesaar ke saath ye arz kar dun ke Azwaaje Rasul (صلى الله عليه وآله) ko "Oummahaatul momeneen" (momeneen ki maa'aen) maanne me aur "Oummahaatul momeneen" kahne me bahot farq hai


shia, tamaam Azwaaje Nabi (صلى الله عليه وآله) ko "Oummahaatul momeneen" maante hain lekin Aa'aesha ke kartut aur jaraa'aem ki bena par oun ko "Oummul momeneen" kahna pasand nahi karte.


dusri baat ye hai ke sunni kath mullaa'on ne apni qaum ke zehn me betha diya hai ke Aa'aesha ko "Oummul momeneen" kahna Aa'aesha ki bahot badi fazeelat hai.


is ke aelaawah Aa'aesha ke kartut, momeneen ke saamne hain.
is ke peshe nazar ye fitri baat hai ke Aa'aesha ko "Oummul momeneen" kahna pasand nahi karte.


Aa'aesha ko "Oummul momeneen" na kahne ki benaa par kahaa jaataa hai ke ye qur'aan majeed ki mokhaalefat hai aur jo qur'aan majeed ki mokhaalefat karta hai wo murtad wa kaafir aur waajebul qatl hai.
yahi hukm Aa'aesha par laagu aur jaari hoga keyon ke Aa'aesha ne momin ki maa hone se inkaar kiya hai, ye bhi qur'aan ki mokhaalefat aur surah ahzaab aayat 6 ki takzeeb hai.


Molaaheza farmaa'aen :


"...عَنْ عَمْرِو بْنِ غَالِبٍ، قَالَ: دَخَلَ عَمَّارٌ عَلَى عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا يَوْمَ الْجَمَلِ، فَقَالَ: السَّلَامُ عَلَيْكِ يَا أُمَّاهُ. قَالَتْ: لَسْتُ لَكَ بِأُمٍّ. قَالَ: بَلَى إِنَّكِ أُمِّي وَإِنْ كَرِهْتِ..."


"... Amr Bin Ghaalib se marwi hai ke jange jamal ke din Ammaar Aa'aesha ke paas ga'ae aur kaha : salaam ho aap par ay meri maa.
Aa'aesha ne jawaab diya : main tumhaari maa nahi hun.
Ammaar ne kaha : haan, tum meri maa ho, chaahe tumhen ye pasand na ho..."


  1. Al-mustadrak alas sahihain jild 4 p 393 taalif abu abdullah haakim (sunni ketaab)

  2. Musnad bin hambal jild 42, p 462 wa 463, taalif ahmad bin hambal naashir ar'resaalah (sunni ketaab)

belaa shako shubha Hazrat Ammaar momin the, is ke aelaawah jalilul qadr aur baa fazl sahaabi the azmate Ammaar aur sharafe Ammaar ke hawaale se ahaadeese Nabawi bhi waarid huei hain...
Hazrat Ammaar jaiyse momin aur sahaabi ki maa hone se Aa'aesha ne inkaar kiya, keya ye qur'aan ki mokhaalefat wa takzeeb nahi hai ? keya ye irtedaad aur kufr nahi hai ? in ke baare me waajebul qatl hone ka fatwa keyon nahi diya gaya ?


aap hi ki motabar ahaadees aur fatwon ke motaabiq jo shakhs bhi khalifa ke khelaaf baghaawat aur khoruj kare to ouse qatl karna waajib hai.


keya Aa'aesha ne aap ke chauthe khalifa Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ke khelaaf baghaawat aur khoruj nahi kiya ? ye qaanun aur fatwa Aa'aesha par laagu keyon nahi karte ?


mere khayaal me Aa'aesha ke "Oummul momeneen" hone par bahso mobaahasa karne se zeyaadah aham aur mofid ye hai ke oun ke kaale kartuton aur sunni bhaa'eiyon ki aankhon par se ta'assub aur ghaflat ka parda hataayaa jaa'ae.


Niche di gaei video dekhna mofid hai انشاءالله


  1. Aa'aesha par tohmat lagaane ki haqiqat | maariya qibtiya ki eiffat ki gawaahi khoda ne khud di - 01


    part-2 dekhne ke liae click here


  2. Rasule Khoda (s.a) ne Aa'aesha se shaadi keyon ki ? | Aa'aesha ka ghar fitna hai


aap ke baaqi sawaalaat ke jawaabaat baad me diae jaa'aen ge انشاءالله is liae ke oun ke mauzu'aat alag aur mustaqil hain.


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


6 / rabioul awwal / 1445 H.Q

subscribe us on youtube

4 comments:

  1. Shukriya jazakallah khair mohtaje dua

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shukriya
      Zarur insha'allah
      Khoda Ahlebait s.a ke sadqe me aap ko salaamat rakhe elaahi aameen

      Delete
  2. MashaAllah bahot hi ilmi aur mufeed jawab. Khuda aapko salamat rakhhe.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shukriya
      Khoda Ahlebait s.a ke sadqe me aap ko bhi salaamat rakhe elaahi aameen

      Delete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen