Salaam ke bajaa'ae aadaab kahna kaisa hai ? | salaam ke alfaaz - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, January 9, 2024

Salaam ke bajaa'ae aadaab kahna kaisa hai ? | salaam ke alfaaz

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtarama janaab Reshma Rizvi Sb


Salam


Aadab kar sakte hain ya nahi ? Iska ans dijiye


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


koei haraj nahi hai albatta salaam ki jagah aadaab nahi le sakta, salaam karne ke sharei aur masnun tariqe aur seghe (alfaaz wa kalemaat) 4 hain


  1. salaamun alaik (سَلامٌ عَلَیک)
  2. as'salaamo alaik (اَلسَّلَامُ عَلَیْک)
  3. salaamun alaikum (سَلامٌ عَلَیکُم)
  4. as'salaamo alaikum (اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ)

aur ye dini wa islaami she'aar wa doaa'eiyah jumle bhi hain aur "salaam" khoda ke naamon me se aek naam hai lehaaza behtar ye hai ke sharei alfaaz ( 4 seghon) ko aadaab se badlaa na jaa'ae


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah


  1. Salaam karna mustahab aur jawaab dena waajib keyon hai ? | salaam karne ke aadaab

  2. Namaazi dauraane namaaz salaam ka jawaab kaiyse de ?

  3. Salaam ki jagah "Yaa Ali Madad" kahna kaiysa hai ?

  4. Keya namaste ya namaskaar kah sakte hain ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


25 / jomaadiyus saani / 1445 H۔Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.