Ghar me ghode ki naal lagaane ki haqiqat keya hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, February 26, 2024

Ghar me ghode ki naal lagaane ki haqiqat keya hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Syed Naasir Abbaas Jaafari Sb. | Congo (Goma)


Salamun alikum khairiyat ?


Kya ghore ki naal ghar me lagane se koi fayda hota hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


Mokhtasar jawaab :


aiysa karne par na koei faa'aeda hota hai aur na koei noqsaan, ye maan'naa ke ghar waghairah me ghode ki naal lagaane ka koei faa'aeda hai, ye aqlan, naqlan, shar'an aur eilman har tarah baatil wa ghalat hai is liae ke naal me koei asar nahi hai, khilqat me sirf aur sirf khoda ki zaat mo'assir (asar andaaz) hai, agar kisi chiz (jaiyse khaake shefa aur dawa) me taaseer hai to wo khoda ke aeraade wa izn se hai.
ghode ki naal me khoda ne koei taaseer nahi rakhi hai.


Qadre tafsili jawaab :


kaei sadiyon se ye rasm chali aa rahi hai ke sehro jaadu, aaseb, jinnaat, shaytaan, buri nazar, bure hawaadis aur balaa'on waghairah se bachaao wa hefaazat aur rizqo rozi me afzaa'eish, barkat, maalo daulat, molaazemat aur ghar me khush'haali waghairah ke liae gharon, dokaanon aur gaadiyon ke darwaazon par ya oun ke andar ghode ki naal lagaa'ei jaati hai, darwaaze par keel waghairah se nasb kar di jaati hai ya lat'kaaei jaati hai.


ghode ki naal gharon aur dokaanon waghairah ke darwaazon par lagaane ki keya haqiqat hai ? aur keya wajah hai ?
aksar ko nahi maalum, taarikh bataati hai is tawah'hum parasti ki ibteda waaqea'ae karbala ke baad se huei.


Imaam Husain (عليه السلام) ki shahaadat ke baad Omare saad (لعنة الله عليه) ne apne sepaahiyon ko aawaaz di ke tum me se kaun hai jo Imaam Husain (عليه السلام) ki laash ko paamaale sume aspaan kare ? sab se pahle jis ne Imaam Husain (عليه السلام) ke paak jasad ko paamaal kiya wo sang dil Shimr mala'oun tha
ous khabees wa paleed ke aelaawah shaytaan sefat dusre 10 logon ne Shimr ki paiyrawi ki aur Imaam Husain (عليه السلام) ke paak jasad ko ghodon ki taapon aur zameen ke darmeyaan kuchal diya.


rewaayaat ke motaabiq paamaal karne waale 11 log aur saare qaateleene Imaam Husain (عليه السلام) waladuz'zena the.


jab wo 10 log waapas Kufe aur Shaam laut kar aa'ae to barkat lene ke khayaal se ghodon ki 40 naalon (har ghode ki 4 naalen) ko apne gharon par latkaayaa hatta baaz ne oun naalon ka bosa bhi liya.


dushman ke khayaale baatil me (ma'aazallah) jin logon ki laashen paamaale sume aspaan ki gaein wo daa'aera-e-islaam se khaarij the is wajah se ye naalen baa'barkat hain.


yahi kaam oun 10 logon ki aulaad ne bhi tabarrukan kiya, aur fakhriya taur par kahte the ke ye wo kaarnaame hain jis ko mere baap daada ne karbala me kiae, aur gharon par naal latkaane ka silsila pusht-dar-pusht chalta raha.


paanchwen sadi hijri (taqriban nau sau paiyntaalees - 945 saal qabl) ke jalilul qadr aalim apni ketaab me likhte hain :


بنو السرج: فأولاد الذين أسرجت خيله لدوس جسد الحسين عليه السّلام، و وصل بعض هذه الخيل إلى مصر، فقلعت نعالها من حوافرها و سمّرت على‏ أبواب الدور ليتبرّك بها، و جرت بذلك السنّة عندهم حتّى صاروا يتعمّدون عمل نظيرها على أبواب دور أكثرهم


Tarjuma wa mafhum :


Banu sarj (ghode par zeen kasne waalon ki aulaad) oun logon ki aulaad hain jinhon ne apne ghodon par zeen kasi taake Imaam Husain (عليه السلام) ke badan ko paa'aemaal karen, oun me se kuchh ghode Misr jaa pahunche, ous ke baad oun ghodon ki naalon ko oun ke khuron se oukhaadi aur hosule tabarruk ke liae gharon ke darwaazon par thok di aur ye kaam oun ke nazdeek sun'nat wa aadat ke taur par jaari ho gaya yahaan tak ke oun me se bahot se aadmi jaan bujh kar gharon ke darwaazon par ous ke misl kaam karne lage.


(At'ta'ajjub min aghlaatil aammah fi mas'alatil aemamah p 116 - 117 taaleef Abul Fath Karaajoki ya Karaajaki naashir daarul ghadir)


Zeyaarate aashura me hai :


"َ لَعَنَ اللَّهُ اُمَّةً اَسْرَجَتْ ...ْ لِقِتالِکَ "


khoda ous qaum par laanat kare jis ne aap [Imaam Husain (عليه السلام)] se ladne ke liae ghodon par zeen kasi.


Ahlebait (عليهم السلام) aur shia aqaa'aed ka defa karne waale saatwen sadi hijri (taqriban saat sau payntaalees - 745 saal qabl) ke aalim ne apni ketaab me ghode ki naal ke baare me jo likha hai molaaheza farmaa'aen :


shaam me qabaa'ael hain ous me kuchh aiyse hain jis me Imaam Husain (عليه السلام) ke qaatilon ki aulaad hain, ous ka aehteraam kiya jaata hai, ous qabile ko atiyaat diae jaate hain aur khaiyraat bheji jaati hai.


ومنهم : بنو النعل ، وهم أولاد من أركض الخيل على جسد الحسين(عليه السلام) في ‌كربلاء ، وأخذوا من ذلك النعل بقاياه ويخلطونه بمثله أباً عن أب . ويعلَّق حلقة منه على ‌أبواب الدور تَفَؤُّلاً وتيمّناً بها


Tarjuma wa mafhum :


aur oun qabilon me se aek "Banu naal" (naal ki aulaad) hain wo oun logon ki aulaad hain jinhon ne karbala me ghodon ko daudaane ke liae aed laga kar Imaam Husain (عليه السلام) ke jasad ko ghodon ki taapon tale raund daala tha aur Banu naal, oun naalon ki baaqiyaat ko le kar ous me waiysi hi naal mila diya karte the, ye silsila nasl dar nasl chalta raha aur ous ka halqa apne gharon ke darwaazon par faale nek aur tabarruk ke taur par latkaate the.


(Asraarul aemaamah p 323 taaleef Aemaadud'deen Hasan Bin Ali Tabari)

poshida na rahe ke Imaam Husain (عليه السلام) ke paak badan ko paamaal karne ke liae jin logon ne ghode par zeen kasi aur jin logon ne daudaane ke liae aed lagaa'ei ... oun ki aulaad shaam ke qabaa'ael me "Banu sarj" aur "Banu naal" se mash'huro maaruf huei.


yaad rahe ke gharon ke darwaazon par ghode ki naal lagaane ka rasmo rewaaj America aur Europe waghairah me bhi aam hai.
maghrebi awaam me ye rasm khud Banu Omay'yah aur Ahlebait (عليهم السلام) ke bad'tareen dushmanon ne phaiy'laaei.
sarzamine shaam ke mashreqi raaste se Europe ke aelaaqon me pahunchi hatta barre sagheer ke kuchh aelaaqon me bhi ab tak baaz naa waaqif afraad apne gharon aur dokaanon par ghode ki naal lagaate hain.


taarikhi shawaahid se ye maalum ho gaya ke is rasmo rewaaj ki shuru'aat waaqea'ae karbala ke baad se huei aur naal lagaane ki qabih rasm ki bunyaad rakhne waale Banu saqifa wa Banu omay'yah hain, ye ahle baatil ki rasm hai, shari'at me is tarah ki tawah'hum parasti ki koei gunjaa'eish nahi hai lehaaza is se ijtenaab zaruri hai agar naal lagaa'ei huei ho to fauran ous ko hataa'aen.
naal lagaane ke mota'alliq baaton par wo log aetemaad karte hain jo mazhab wa haqiqat se koson dur hain, setam baalaa'ae setam, hamaari shia qaum me bhi logon ki aek taadaad is bimaari me mubtala ho chuki hai, oun ki aql par maatam karne ko dil karta hai.


malhuz rahe ke khud Banu saqifa wa Banu omay'yah dil me naal ke nek faal aur baa barkat hone par aeteqaad nahi rakhte the, ounhon ne jo kuchh Imaam Husain (عليه السلام) ke paak jism aur naalon se marbut kiya wo Farzande Rasul Hazrat Imaam Husain (عليه السلام) se adaawat wa dushmani aur bughzo kina ki bena par aur Ibne Zeyaad waghairah (لعنة الله عليهم) se inaam lene ke liae kiya tha.


lekin "خَسِرَ الدُّنْيَا وَالْآخِرَةَ" dunya aur aakherat (donon) ganwaa'ei (surah haj aayat 11)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


14 / shaabaan / 1445 H.Q

shabe welaadat baa sa'aadat najaat dahinda, oummide aalam, manba khairo barkat Hazrat Mahdi Mau'oud (عجل الله تعالى فرجه الشريف)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.