اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : mohtaram janaab Syed Ammaar Haidar Sb | Katokhar (Saran - Bihar)
Roze ki halat main injection le sakate hain ya khoon test karwane ke liae nikalwa sakate hain ya nahi.
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
roze ki haalat me test waghairah ke liae khun nikalwaa sakte hain, is se roza baatil nahi hota keyon ke badan se khun nikalwaana roze ko todne waali chizon wa omur me se nahi hai albatta agar kamzori ka baa'aes bane to makruh hai
injection lagwaane ka mas'alah maalum karne ke liae niche di ga'ei headline par click karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / ramzaanul mobaarak / 1445 H.Q
No comments:
Comment