Eide Fitr ke mota'alliq Aayatullaah Sistaani ke daftar se sawaal aur ous ka jawaab - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, April 9, 2024

Eide Fitr ke mota'alliq Aayatullaah Sistaani ke daftar se sawaal aur ous ka jawaab

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا


سلام علیکم

Momenin wa Momenaate geraami


Eide Fitr ke chaand dekhne ke ta'alluq se haqir se puchha gaya to apni shar'ei zimme'daari samajhte huae aur momenin ke shakko tardid ke peshe nazar Aayatullah Sistaani ke daftar (Qum) se jo sawaal kiya ous sawaal aur jawaab ka tarjoma wa mafhum aap hazaraat ki khidmat me pesh karne ki sa'aadat haasil kar raha hun


Sawaal :


Keya Aayatullah Sistaani ne koei aiysa hukm diya hai ke momenine Hindustaan ke liae bhi kal (10 / 4 / 2024) Eide Fitr hai ?


Jawaab :


Ba'eid nahi kal baroz budh Hindustaan me Eide Fitr ho


"Ba'eid nahi" ki wazaahat :


Agar itminaan haasil kar liya ke chaand dekha gaya hai to Eid hai aur agar itminaan haasil nahi huaa to 2 kaamon me se koei aek kaam kar sakte hain :


  1. (Taqriban 22 km) safar karen aur safar me kuchh khaa kar laut aa'aen

  2. Roza rakhen

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Moqim Qum / Iran


Roze Eid-e-Fitr 1445 H.Q
Ba'motaabiq 10 / 4 / 2024

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.