Wozu ke dauraan nal band karne ka tariqa aur ahkaam - Edaara-e-darul itrat
Bani Haashim Ki Auraton Ki Azaadaari | Imaam Sajjaad Ka Oun Ke Liae Khaane Ka Bandobast Karna

Sunday, July 13, 2025

Wozu ke dauraan nal band karne ka tariqa aur ahkaam

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : +9233570...


wazoo me tap ko band karne ka tareeqa kiya hai


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Chehre par paani daalne ke baad pahle nal band karen phir chehre par haath pheren taake sab jagah ach'chi tarah paani pahunch jaa'ae phir daahene haath par paani daalne ke baad pahle nal band karen ous ke baad haath pheren isi tarah baa'aen haath par paani daal kar pahle nal band karen ous ke baad daa'aen haath ko baa'aen haath par is tarah pheren ke paani pure haath par pahunch jaa'ae phir sar aur donon pairon ka mas.h karen


Note :


  1. Wozu ke dauraan 1 martabah ya baar baar nal band karne ke baare me aam khayaal ye hai ke aiysa karne se wozu baatil ho jaata hai lehaaza kuchh log shuru se aakhir tak nal khula chhod dete hain

  2. Pahli baat to ye ke, ye khayaal wa tasaw'wur ghalat hai nal band karne se wozu baatil nahi hota, is me koei haraj nahi


    Dusri baat ye ke nal khula rakhna durust nahi is liae ke ye israaf hai aur israaf haraam wa gunaah hai albatta wozu karte waqt paani me israaf karna wozu ke baatil hone ka baa'aes nahi


  3. Agar wozu ke dauraan baahar ka paani chehre ya daahene haath par lag jaa'ae to koei haraj nahi, wozu baatil nahi hoga albatta baa'aen haath ko dhone ke baad aur sar wa pairon ka mas.h karne se pahle is baat ka khayaal rakhen ke daa'aen aur baa'aen haath ki hatheli par maujud wozu ke paani par baahar se paani na lage keyon ke is surat me sar aur pairon ka mas.h baatil ho jaata hai

  4. Waazeh rahe ke mas.h sahih hone ke liae ye zaruri hai ke wozu ke paani se dusra paani makhlut na ho lekin agar baahar ka paani aetnaa kam ho ke wozu ke paani par ghaalib na aa'ae to koei haraj nahi


    Agar baa'aen haath ka dhona mokammal hone se pahle, nal band kar den aur baa'aen haath ki hatheli par baahar (yaa nal) ka paani lag jaa'ae ya gir jaa'ae to ye bhi kiya jaa sakta hai ke aabe wozu ki niyat se apne daahene haath ko baa'aen haath ki kohni se niche ki taraf khinchen, is surat me wozu aur ous se mas.h karna dorust wa sahih hoga


  5. Wozu ke dauraan baahar ke paani se moraad wo paani hai jo wozu ki niyat se aazaa'ae wozu par na daala jaa'ae aur jo paani wozu ki niyat se daala jaa'ae wo wozu ka paani hai

  6. Wozu me darj zail mustahab'baat hain :

    1. Wozu ke liae paani lene se pahle kalaaei tak haath dhona

    2. Wozu shuru karne se pahle 3 martabah kulli karna yaani apne munh me paani daal kar ghumaana phir baahar nikaal dena

    3. 3 martabah naak me paani daalna

    4. Zaahir hai ke in mustahab'baat ko jaldi jaldi anjaam dete hain is ke dauraan nal band karne ki zarurat nahin


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhnaa mofeed hai انشاءالله


Wozu me makruhaat | Wozu wa ghusl me ketna paani istemaal karna chaahiae ?


والسلام

Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba'ae sawaalaat Qum / iran


16 / moharram / 1447 H.Q

subscribe us on YouTube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen