Keya "Maqtale Moqarram" motabar ketaab hai ? Ahle ilm ko ghav'vaas ki tarah hona chaahiye - Edaara-e-darul itrat
Rasul-e-khoda (s.a.w.w) ki wafaat huei thi yaa shahaadat ? Paise de kar Imaam Husain (a.s) ka alaamati taabut outhwaana kaisa hai ? Azaadaari par maal kharch karne ka 3 ajr

Monday, August 25, 2025

Keya "Maqtale Moqarram" motabar ketaab hai ? Ahle ilm ko ghav'vaas ki tarah hona chaahiye

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : Mohtaram Janaab Kabban Sb (Mumbai)


Salaam alaikum


Kya ye kitab (maqtalul moqarram) motabar hai ?


Kabban Mumbai


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Mokhtasar jawaab :


Ji haan, Maqtale Moqarram motabar ketaab hai.


Qadre tafsili jawaab :


Maqtalul Husain (alaihis salaam) Al-maaruf ba "Maqtale Moqarram" ke mosannif chaudahwin sadi hijri ke bahot bade iraaqi shia aalim "syed Abdur Razzaaq Musavi Moqarram" hain. aap ne is ketaab ko bhi nehaayat mehnat wa mashaqqat se likhi hai. is me Imaam Husain (alaihis salaam) ki zindagi, aap ke qeyaam, shahaadat, waaqea'ae aashurah aur ous ke baad ke waaqe'aat par bahs ki gaei hai.


Is ketaab me motabar wa qaabile aetemaad masaadir wa maraaje se istefaadah kiya gaya hai magar is ke baa'wojud is me naql shudah chand baaten tahqiq ke noqta'ae nazar se qaabile aeteraaz hain aur qaabile qabul nahin hain.


Waazeh rahe ke kisi ketaab ke motabar hone ka ye matlab hargiz nahi ke ous me jo kuchh maujud hai wo tamaam motabar aur mustanad ho aur kisi ketaab ke baare me ghair motabar kahne ka maani ye nahi hota ke ous me har baat ghair motabar hai.


Darya me sadaf aur motiyaan hoti hain aur khaso khaashaak wa kudaa karkat bhi, aek ghav'vaas (ghota lagaane waala) samandar ki tah wa gahraaeiyon me jaa kar anmol motiyaan haasil karta hai aur nikaalta hai, khaso khaashaak aur kuda karkat ko chhod deta hai, albatta aise ghav'vaas ke liye ghav'vaasi ke olumo fonun se waaqif hona zaruri hai.
hamen bhi samandar me ghota lagaane waale ghav'vaas ki tarah hona chahiye ke ketaab me se ach'chhi wa motabar baaten aur besh qimat mataalib haasil karen, ghair motabar aur ghair mustanad baaton ko chhod den.
is ke liye hamen chand aise bunyaadi olum se waaqif hona zaruri hai jo hamen eilm ke samandaron me ghota lagaate waqt aekhtaa wa inheraafaat se bacha saken.


Di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhnaa mofid hai inshaa allah.


  1. Usool-e-kaafi aur dusri shia ketaabon se zaeif rewaayaat ko nikaal keyon nahi dete ?

  2. Waaqea'ae Karbala par sab se pahli kaun si ketaab likhi gaei ? Aur ketne saal baad likhi gaei

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


30 / safar / 1447 H.Q

Roze shahaadate Aalime Aale Mohammad Imaam Reza alaihemus salaam (aek rewaayat ke motaabiq)

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen