اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Tanvir Ali Sb / Delhi
Salam,
Sun set aur maghrib ke azan hone sey pehley ke dauran agar zohrain ki namaz kisi wajah sey nahin padh paaye tou padh saktey hain?
Ayatullah Khamenei Sb. ke mutabiq ?
Jazakallah Khairan.
Iltemaas e Dua.
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aayatullah khamenei ke nazdeek asr ki namaaz ka waqt ghorube Aaftaab tak rahta hai. ghorube Aaftaab ke baad (maghrib ka waqt daakhil hote hi) namaaze asr ka waqt khatm ho jaata hai lehaaza agar ghorube Aaftaab se pahle namaaze zohr aur asr nahi padhi to zaruri hai ke qaza ki niyat se padhen.
Waazeh rahe ke agar kisi ne ghorube Aaftaab tak namaaze zohr aur asr nahi padhi hai to ghorube Aaftaab aur azaane maghrib ke darmeyaan dono namaaz ko padhe, albatta "maa fiz zimme" (jo mere zimme hai) ki niyat se padhe yaani adaa aur qaza ki niyat kiye beghair padhe, dono namaaz sahih hai.
Note :
Masalan ghorube Aaftaab aur azaane maghrib ke darmeyaan taqriban 10 se 15 minute ka faaselah hai to 10 se 15 minute ke faasele ke andar adaa aur qaza ki niyat kiye beghair padhen to namaaz sahih hai.
Haqiqat me adaa hon gi to wo namaazen, adaa shumaar hon gi aur agar qaza hon gi to wo namaazen, qazaa shumaar hon gi
Di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofeed hai inshaa allah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Aazim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
16 / safar / 1447 H.Q
Jazak Allah khair
ReplyDeleteShukriya
DeleteIltemaase doa