Shab-e-qadr me marhumeen ko keya tohfa pesh kar sakte hain ? | Murdah hamesha apne ghar waalon ke tohfe ka muntazir rahta hai - Edaara-e-darul itrat
Jism par tel lagaane ke fawaa'aed | Lagaane ke auqaat | Ketni baar lagaa'aen aur kaun sa tel lagaa'aen ?

Friday, June 23, 2017

Shab-e-qadr me marhumeen ko keya tohfa pesh kar sakte hain ? | Murdah hamesha apne ghar waalon ke tohfe ka muntazir rahta hai

Q.s from Janaab Sabika Razavi Sb / Azimabaad Patna.


Slamun alaikum


Sawaal : shabe qadr me hamlog apne marhumin ke liye sadqa aur surah-e-fateha ke elawa aur kya tohfa paish kar sakte hain ?


Jawaab:


Alaykum assalam wrwb


Qabr me jo murde par guzarti wa bit'ti hai ye, aur munkir wa nakeer intezaar nahi karte ke daswan, biswan aur chaliswan ho jaiy balke jaise hi qabr ke hawaale karte hain munkir wa nakeer aa jaate hain, rewaayat me hai janaaze ke saath aane waalon ke qadmon ki awaaz abhi murda sunta hai ousi waqt munkir wa nakeer aa jaate hain


Rasule Khoda ne farmaaya :


"Murde ghamgin awaaz aur giryah ke saath apne ghar walon se faryaad karte hain ham par raham karo ta ke khoda tum par raham kare"


Shabe qadr azim raat hai, moqaddas wa behtarin shab hai, is raat murde hamaari neki ke liye is tarah beqaraar hote hain jaise sheer khaar bach'cha sheere maadar ke liye beqaraar hota hai, aaj ki raat oun ki nazren zamin ki taraf hoti hain taa ke dunya waalon ki neki wa khair se oun ko faa'aedaa pahunche, neki karne waalon ki maghferat ke liye murde khoda ki baargaah me dua bhi karte hain lehaaza murdon ki taraf se ghaafil na rahen, oun ki madad karen aur hadiyah bhejen, ye hadiye azaab me kami aur sawaab me zeyaadti ka sabab hain


Aap ne puchha hai ke keya hadiyah bhejen ?


Aayaat aur rewaayaat ki roshni me baaz ki taraf aeshaara kiya jaa raha hai :


  1. Sadqah :

  2. Is ki taraf aap ne khud aeshaara kiya hai, ye murde ke liye behtarin wa bohot mofid hadiyah hai, gharibon aur zarurat mand ki madad karen aur ous ka sawaab murde ko hadiyah karen


    Sadqa se moraad har tarah ki neki aur kaare khair hai, hatta ach'chhi niyat aur nek kaam karne ke aeraade me jo sawaab hai ous ko bhi hadiyah kar sakte hain


  3. Agar khoda aur makhluqe khoda ke haq baaqi hain to murde ki taraf se adaa karen

  4. Masalan kisi se qarz liya tha aur nahi diya to us ki taraf se qarz adaa karen, kisi ko aziyat di thi to ous ko raazi karen etc, namaaz, roze aur haj waghairah baaqi hain to us ki taraf se khud anjaam den ya kisi ke zariye ye kaam karwaa'aen


  5. Mustahab kaam karen

  6. Jaise mustahabbi namaaz padhen, ous ki taraf se moqaddas maqamaat ki ziyarat karen, Ahlebaite Rasul ke gham me nikle aansu waghairah ka sawaab hadiyah karen


  7. Murde ke liye doa aur talabe maghferat karen

  8. Murde ke rishtedaar, dost wa ahbaab aur jin ke yahaan aana jaana tha oun se raabeta rakhen is se murda khush hota hai

  9. Telaawate Quraan makhsusan aayatul kursi, surahe qadr, hamd, tauhid aur yaasin

  10. Mohammad wa Aale Mohammad par salawaat ka sawaab

  11. Aulaad aisa kaam karen jis se waaledain khush hote hon, aulaad ka ach'chha kaam oun ki maghferat aur sawaab ke liye behtarin hadiyah hai

  12. Shabe qadr ke apne tamaam aamaal aur ach'chhe kaam me murdon ko bhi sharik karen
    oun ke liye doa'ae maghferat karen


Note :


  1. Jo bayaan kiya sirf shabe qadr se makhsus nahi hain balke har waqt aisa karen

  2. Murde ko hadiyah bhejne ka faa'aeda sirf murde ko nahi balke bhejne waale ke liye bhi sababe sawaab wa maghferat hai

  3. Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


iltemaase dua

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna - shob-e-sawaalaat - Qum / Iran


23 / رمضان المبارک / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen