ghusl karne ka sahih tariqa keya hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, December 14, 2020

ghusl karne ka sahih tariqa keya hai ?

Sawaal az : beraadare mohtaram


Ghusl e janabat karne ke sahi aur mukammal tarike ki tafseel bhejiye


taqlid aayatullah sistaani

mera naam mentioned na kijiyega


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


ghusl chaahe waajib ho (jaiyse ghusle janaabat ya haiz) ya mustahab ho (jaiyse ghusle jum'ah) dono (waajib aur mustahab) ko 2 tariqe se anjaam diya jaa sakta hai aur wo ye hai :


  • Tartibi aur Irtemaasi

    1. Tartibi :


      ghusle tartibi me benaabar aehteyaate waajib zaruri hai ke ghusl ki niyat se pahle tamaam sar aur gardan ko dho'aen yaani ous par paani daalen wa bahaa'aen phir pure badan ko dho'aen yaani tamaam badan par is tarah paani bahaa'aen wa daalen ke baal baraabar jagah khushk na rahe


      behtar wa aehteyaate mustahab ye hai ke pahle badan ke daaheni taraf ke tamaam aadhe hisse ko dho'aen (yaani gardan ke niche = kandhe se haath samet talwe tak dho'aen) ous ke baad baa'ein taraf ke tamaam aadhe hisse ko dho'aen (yaani gardan = kandhe se niche haath samet talwe tak dho'aen)


      albatta daa'aen aur baa'aen ko tartib se dhona zaruri nahi hai balke mustahab hai, lehaaza daa'aen ke bajaa'ae pahle baa'ein taraf ko dho sakte hain lekin sar aur gardan ke pahle badan ko nahi dho sakte, is me tartib zaruri hai


      agar shower (شاور) se naha rahe hain ya aiysi chiz se jis ka paani badan par jaari wa saari hai jaiyse pipe se to aehteyaate waajib ke taur par sar aur gardan dhone ke pahle shower ... ke niche se haten, phir ghusl ki niyat se sar aur gardan ko dho'aen aur shower ... ke niche se haten phir tamaam badan ko dho'aen aur agar daayaan aur baayaan hissa dho rahe hain to aek taraf ka hissa dho kar thodi der ke liae paani se haten phir dusri taraf dho'aen


    2. Ghusle irtemaasi :


      is ke 2 tariqe hain, Daf'ei aur Tadriji


      1. Daf'ei :

      2. is me zaruri hai ke aek hi lamha me paani badan ke tamaam hisson ko dhaanp (ڈھانپ) le
        (yaani paani pure badan ko gher le, taiyraaki ke taalaab = swimming pool ya taalaab ya hauz ya darya ... aur dabaao = pressure ke saath niche girne waale aab'shaar jharne ke paani me aiysa hi hota hai)


        lekin zaruri nahi hai ke ghusl shoru karne se pahle tamaam badan paani ke baahar ho balke agar badan ka kuchh hissa paani ke baahar ho (masalan sirf sar baahar ho) aur ghusl ki niyat se paani me chala jaa'ae to kaafi hai ghusl sahih hai


        (agar pura badan paani me hai to masalan sirf sar nikaal kar niyat kar ke phir paani me chala jaa'ae kaafi hai)


      3. Tadriji :

      4. is me zaruri hai ke ghusl ki niyat se badan ko aahista aahista (tadrijan) paani me le jaa'aen is tarah ke paani ke andar aazaa'ae badan ko le jaane me faasela zeyaadah na ho, aazaa'ae badan ko dhone me "mowaalaat" ki re'aayat is tarah karen ke log yaani ourf kahe ke ghusle irtemaasi me mash'ghul hain


        ghusl ki is qism me zaruri hai ke badan ka har ouzw (عضو), dhone ke pahle paani se baahar ho


        zehan nashin rahe ke ghusl ki is qism me zaruri nahi hai ke tamaam badan ek hi lamha me paani ke niche ho lehaaza ghusl karne waala shakhs ghusl ki niyat se baaz hisse ko paani me le jaane ke baad ous ko paani se baahar laa sakta hai phir dusre hisse ko paani me le jaa'ae


    Note :


    1. shower ya pipe ... ke niche ghusle irtemaasi nahi ho sakta is liae ke ghusle irtemaasi ye hai ke paani ke andar jaa'aen na ye ke paani ham par gire ya daala jaa'ae. shower ... se nahaate waqt ham paani ke niche hote hain paani ke andar nahi. jab hauz ya taalaab waghairah me nahaate hain to ham daakhile aab hote hain yaani paani pure badan ka aehaata (احاطہ) kar leta hai, shower ... is tarah nahi hai


      albatta dabaao (pressure) ke saath niche girne waala aab'shaar jharna ka paani ho to ous se ghusle irtemaasi kar sakte hain, ye hukme irtemaasi me hai is liae ke jab zeyaadah bahaao (بہاؤ) waale aab'shaar jharne ke niche jaate hain to dar haqiqat ham paani ke andar hain, paani ke niche nahi, ye taiyraaki ke taalaab ke maanind hai


    2. agar kisi ke zimme chand waajib ghusl hon ya chand mustahab ghusl hon ya chand waajib aur chand mustahab dono aek saath hon to sab ko juda juda karne ke bajaa'ae ek hi ghusl oun tamaam ghuslon ki niyat ke saath anjaam dena jaa'aez wa kaafi hai

    3. mowaalaat yaani faasele ke beghair paiy dar paiy (پے در پے) anjaam dena


      ghusle tartibi me mowaalaat shart nahi hai lehaaza masalan sar dhone ke baad fauran gardan dhona zaruri nahi hai ya sar aur gardan dhone ke baad zaruri nahi hai ke fauran badan dho'ae


    4. ghusle maiy'yit waajib hai lekin ous ka tariqa alag hai


      (baaqi tafsil aur ahkaam tauzihul masaa'ael me dekh len)


    Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله



    والسلام

    Syed Shamshad Ali Katokhari

    khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


    28 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق

    Subscribe us on youtube

    No comments:

    Comment

    .