oumre ke baad tawaafe nesa kiae beghair ghar waapas laut aa'ae to keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, March 26, 2023

oumre ke baad tawaafe nesa kiae beghair ghar waapas laut aa'ae to keya hukm hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : beraadare mohtaram / Saudiya


Salamun alaikum wrb
aap kheriyat se honge inshaallah


Sawal. Mene umrah kar liya tha 3 mahine pehle lekin tawafunnisa nahi kiya tha
ab bager ehram ke haram me entry nahi milti hai kya me sirf tawafunnisa ki niyyat se ehram bandh kar ja sakta hu
jisme umrah na karu to.....


ho sake to aaj jawab irsal kare zaruri hai
Shukriya


Ya ehram bandhne ke bad umrah karna zaruri hai


taqlid : Aaga sistani sahab ki


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


aap aehraam ke beghair nahi jaa sakte, makka mokarramah me daakhil hone ke liae zaruri hai ke aehraam baandhen aur oumrah karen phir pahle waala tawaafun nesa bhi karen


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله


  1. tawaafe nesa | keya jis ne tawaafe nesa ada nahi kiya to miyaan biwi par | biwi miyaan par haraam hon ge ? | raahe hal

  2. keya pahle oumrah ka tawaafe nesa kiae beghair dusra oumrah kar sakte hain ?

  3. Aek maah me 2 oumrah karne ka keya hukm hai ? | donon ke darmeyaan ketna faaselah hona chaahiae ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat Azim Aabaad / patna-shoba-e-sawaalaat Qum / iran


4 / Ramzaanul mobaarak / 1444 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.