Keya mosaafir makka wa madine me roza rakh sakta hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, March 24, 2024

Keya mosaafir makka wa madine me roza rakh sakta hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram Janaab Burair Raza Sb. 


agar banda umrah ke liye gaya ho 15 days ke liye, 5 days makkah, 5 days madina, 5 days riyadh to roza farz hai kiya ?


Regards,
BURAIR RAZA | burairra...@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


Tinon jagah roza nahi rakh sakta, jaa'aez nahi hai keyon ke tinon shahron me ous bande ka 10 din se kam rahne ka aeraada hai, wo shakhs ous maqaamaat par qeyaam ke dauraan shar'an mosaafir hai


waazeh rahe ke ramzaan ke mahine me haajat ke wo 3 roze bhi nahi rakh sakta jo Madina Tay'yebah me rakhe jaate hain.


is baare me mazeed maalumaat haasil karne ke liae niche di gaei video dekh len aur headline par click karen


  1. kahaan namaaz puri ya qasr padh sakte hain | madine me haajat ke liae roza rakhna


  2. Mosaafir ke mota'aliq roza ke masaa'ael | keya mosaafir makke wa madine me roza rakh sakta hai ?

mazeed maalumaat ke liae roze aur Hajj & Oumre ka shoba dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


11 / ramzaanul mobaarak / 1445 H.Q

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.