Eide Fitr ke chaand par aekhtelaaf aur roza rakhne yaa eid ka keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, April 17, 2024

Eide Fitr ke chaand par aekhtelaaf aur roza rakhne yaa eid ka keya hukm hai ?

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


باسمه تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا


Sawaal az Momenin aur Momenaate geraami :


سلام علیکم


Is saal eide fitr ke chaand ko le kar jo hangaamah wa tanaaza'a huaa tha jis ke natije me kuchh logon ne eid ki namaaz 10 April 2024 ko padhi aur kuchh logon ne 11 April ko ada ki


Tamaam hangaamah aur eid ki namaaz padhne ke baad bhi helaal ko le kar Aayatullah Sistaani ke moqalledine geraami qadr ke sawaalaat ka silsila ab bhi jaari hai, aekhtesaar ke baa'aes saare sawaalaat aur momenino momenaat ke naam ka yahan zikr momkin nahi lehaaza naamon ko nazar andaaz karte huae sirf sawaalaat ka khulaasa aur jawaab molaaheza farma len :


  1. Baaz logon ne kaha ke kal (ba'roz budh 10 April 2024) eide fitr hai (yaani 29 ka chaand hai), oun ke kahne par mai mutma'ein ho gaya / ho ga'ei is liae roza nahi rakha aur namaaze eid bhi padh li lekin baad me maalum huaa ke Maahe Ramzaan 30 din ka tha, is surat me hukm keya hai ? Keya kaffaarah hai ? Keya namaaze eid sahih hai ?

  2. Jawaab :


    Zaruri hai ke ous din ke roze ki sirf qaza rakhen, kaffaarah nahi hai


    Namaaz baatil hai, albatta aap ne gunaah ka irtekaab nahi kiya hai


  3. Kuchh logon ne kaha ke kal (ba'roz jume'raat 11 April 2024) Maahe Ramzaan ki 30 taarikh hai (yaani chaand 29 ka nahi hai), oun ke kahne par mutma'ein ho gaya / ho ga'ei is ki wajah se roza rakh liya lekin baad me maalum huaa ke eide fitr thi (yaani chaand 29 ka tha) is surat me keya kaffaarah ya koei chiz hamaare zimme hai ?

  4. Jawaab :


    Kaffaarah nahi hai aur aap ke zimme kuchh nahi hai


Mazid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click kar ke jawaab molaaheza farma len



  • Taqlid aur royate helaal ke mota'alliq maalumaat ke liae click here

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


8 / Shaw'waal / 1445 H.Q

Roze inhedaame Jannatul baqi

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.